Home About Contact Sitemap Disclaimer テクノロジー
Unknown

on

Blogger images par printed pin it button kese lagaaye




Images aapke blog ki ranking bhadane ke liye bohot important hai. Pinterest ek Social Network hai jaha par log apni pasand ki images link ke sath daal sakte hai, Jaise hum Facebook par share kane ke liye like ya share par click karte hai – theek usi tarha se pinterest par Pin It ka button hota hai.
Pinterest ka lokpriye hone ka ek karan ye bhi hai ki logo ko likhi hui cheezo se jada Images share karna jada pasand hai. Pinterest ka use hum apne blog ki images share karne ke liye bhi use kar sakte hai.
Hum apne blog ki har image ke upar ke pinterest button laga sakte hai, jiseclick karte hi visitor aapke blog ki image ko apne pinterest account me add kar lega aur aapki post images ke sath pinterest par share ho jayegi, jisse aapke blog par kafi traffic aa sakta hai. Jab bhi koi vyakti pinterest par share ki hui aapki photo par click karega to wo aapke blog par aa jayega.
Pinterest buttons ko add karne se aapke blog par kafi traffic aa sakta hai. Is article me mai aapko apne blog ki har image par pinterest button lagana sikhauga.

Pin It Button ka Code Banaye

Button lagane ke liye hume sabse pehle uska code cahiye. Code paane ke liye neeche diye gaye steps follow kare
Step 1: https://business.pinterest.com/en/widget-builder website par jaye. Yaha se hum apne blog ke liye button bana sakte hai.
Step 2: Left sidebar me se Pin It button par click kare. Aur phir Image Hover (Image hover ka matlab, jab hum image par mouse lijaege tab button dikega).
image-hover-par-jaye

Step 3: Ab uppar diye gae options me se apne button ke jaisa cahe vaisa design kare.
code-copy
Neeche diya gaya code copy karle.

Pin code kaise lagaye:

Step 1: Code lagane ke liye apne layout > Add a Gadget par click kare
add-gadget-click-kare

Step 2: HTML / JavaScript gadget select kare
plus-click-kare
Step 3: Copy kiya hua code content me paste karde. Title ko khali chodde.
code-add-kare
Hamara code ye tha:
<!-- Please call pinit.js only once per page -->
<script type="text/javascript" async defer data-pin-color="red" data-pin-height="28" data-pin-hover="true" src="//assets.pinterest.com/js/pinit.js"></script>

Mujhe ummeed hai ki ye article aapko pasand aaya hoga. Agar aapka koi bhi sawaal hai to neeche comment kare.
Thank you :)
Copyright © 2015 Dgyaan-digital gyaan - All Right Reserved.
Thanks To Arlina Design - This Template Dunia Blanter / Blogger