Home About Contact Sitemap Disclaimer テクノロジー
Find 2 help ai
Find 2 help ai › Blogging make money

on

Powered by blogger ko kese hataaye



Kya aapne agar blogger par apna free me apna blog banaya hai. Lekin ek baat hai, free ki cheez free ki hi hoti hai. Blogger wale apni Ad karne ke liye sabhi blogs ke neeche “Powered by Blogger” likhte hai.
Is post me hum yahi seekhe ge ki blogger dwara template ke neeche likha hua “powered by blogger” kaise remove karna hai.
Mai aapko aisa tarika batauga ki aap kisi bhi theme me ho. aap aaram se “Powered by blog” hata sakte hai.
powered-by-blogger-remove-kare

Step 1 : Element ki ID dhunde:

Sabse pehle aap apne blog ko “Google Chrome” browser me khole. Website kholne ke baad apne jo bhi cheez hatani hai uspar right click kare. Hamne abhi powered by blogger hatana hai to hum uspar right click karege.
inspech element kare
Right click karke inspect element par click kare. Click karte hi ek box khul jayega. Is box me hamare blog ka poora structure hota hai. Hum inspect element ke dwara apne “powered by blogger” ki id dundege, aur us ID ko chupa denge.
id-dhunde
Aap dekh rahe hai ki “powered by blogger” ki ID ka naam Attribution1hai. Ab agle step me hum is id to hide kar dege.

Step 2 : Element hide kare

Hide karne ke liye hume sabse pehle apne blog ke account me jana hoga. Waha se hume Template > Customizepar jana hoga.
customize-click-kare
Customize par jaakar aapko Advance > Add CSS par click karna hoga.
css-add-kare
Add CSS click karte hi seedhe haath par ek text box khulega. Use hum id likhkar neeche “Powered by blogger” ko hide kar dege.
Sabse pehle # laga kar id ka naam likhe aur phir naam ke baad { display:none; } laga de.
To abhi hum likhege
#Attribution1 { display:none; }
Is code ko Add custom CSS wale box me daal kar Apply to Blog par click karde.
Apply-kare
Aap aur bhi kuch cahe to use bhi hata sakte hai isi tarike se, bas ID pata honi cahiye.
Ab aap ja apne blog ko dubara dekhege to waha se Powered by blogger hat chuka hoga.
Agar aapko ye article pasand aaya to aap apne friends to vikasplus ke baare me jaroor bataye. Yaad rakhne.
Jitna banto ge uthna milega.
Thank you for reading this post. I hope you like it :)
Copyright © 2015 Dgyaan-digital gyaan - All Right Reserved.
Thanks To Arlina Design - This Template Dunia Blanter / Blogger