Ye sab baate batakar mai aapko Demotivate nahi karna cahta hun, par mai aapse jhuth bhi nahi bolna cahta, aapko blogging ki asliyat ka andaza hona cahiye.
Blogging shuru karne se pehle aapko pata hona cahiye ki aap kya kar rahe hai. Aapke pass patience bhi hona jaroori hai, aur skills bhi hone cahiye.
Mai aapko ek choti sir story sunata hun, parso mere pass Facebook par ek young ladke ka message aaya.
Wo jaana cahta tha ki “Adsense ke liye kaise apply kare?”
Maine usse poocha ki “Kya aapki koi website hai?”
Wo : “Nahi abhi koi website nahi hai”
Mai : “To aap Adsense ke baare me jaankar abhi kya karoge?”
Wo : “Kyoki mai usse paise kamana cahta hun, Please batao. Aur apply karne ke liye blog kitna purana hona cahiye?”
Mai : “Sir ji aap pehle ye batao aapke pass kya Skills hai?”
Wo : “Thoda bohot Internet ke baare me pata hai”
Mai : “Blog par kya karoge”
Wo : “Internet ke baare me sikhauga”
Chalo ab aap ek baat batao “Kya aapko lagta hai ki ye vyakti Internet se paise kama payega.” Mai kisi ki आंकना nahi kar raha lekin mera manna ye hai ki
“Aapke pass jitne jaada Skills hoge. Aap utna jaada paisa kama sakte hao, Online ho ya offline”
Thoda bohot internet chalana aana koi skill nahi hai. Ye to wo baat hogai ki aapko gaadi chalani aati hai, to paise kamane ke liye Driver ban jao. Lekin aapko pata hai ki jab har ek ko gaadi chalai aati hai to kya hota hai ??
Ya to Driver ki naukri chali jaati hai aur ya phir uski Salary bohot kum ho jaati hai.
Kuch aisa skill seekho jo aapko kum se kum 10-15 saal tak kaam aaye. Jisme aap best ho, jisme jab aapke competition me koi khada ho to aapko pichad naa paye.
“Jitna muskhil kaam seekhoge, utni jada aapki value bhadegi”
Agar nahi yakeen hai to aap Mc Donalds ke kisi worker ko dekhna. Uska kaam kya hai ? Ek jagha se uthakar doosri jagha par Burger rakhna, Are ye kaam to aane waale kuch saalo me machines bhi kar legi. Bohot hi low level skills hai.
Mai batau aap me se jadata blogger kya karege.
- Shayari ka blog
- Chutkule ka blog
- Gaane Download ki website (illegal hai)
- WhatsApp Message ka blog
In blogs ko kholne me koi problem nahi hai. Lekin aise blog se aapko kabhi bhi amir nahi banayege. Aur sach mai batana ki kya aap aise blog ko poori jindagi chalana cahoge.
Agar aapko blogging se Amir banna hai to koi aisa blog kholo jisse logo ko bohot fayda ho. Real fayada. Pagal nahi banana. Real Help mile unhe. Jaise ki :
- Aap baccho ko padha sakte ho
- Video Editing sikha sakte ho
- English sikha sakte ho
- Aapni life ke around ek blog bana sakte ho
Dono lists me farak pata hai kya hai, Doosri list me real skills ki jaroorat hai.
Agar aap bina kisi skill ke blogging shuru kardege to pata hai kya hoga? Aapki kayi saalo tak earning nahi hogi aur aap phir himmat haarkar vahi ke vahi reh jaaoge. Itna time waste ho jayega ki jitne time me to aap ek accha khasa skill seekh lete.
Aap kahege – “Chalo Theek Hai, Samajh gaya, Ab kya karu?”
Kya kare?
Chinta mat karo mai aapko kuch practical tips bhi dunga.
Skill Seekho
Sabse pehle aapke paas kuch skill hona cahiye. Kuch real skill.
Dekho bura mat manna (Maan bhi loge to farak nahi padta) aapme se bohot logo ko to ye bhi nahi pata ki duniya me aajkal chal kya raha hai. Aap jab skill ke baare me sochne bethoge to aap chota hi sochoge. Jab hamari knowledge bhadti hai to hame khud hi clear ho jata hai ki life me kya karna cahiye.
Practical Advice Number #1
Apni Knowledge bhadao. Kaise?
Agar aap ye article pad rahe hai to aap internet par kuch bhi padh sakte hai. Internet par har cheez ki jaankari hai.
Rocket Scientist banna hai to bhi aapko Internet par sabkuch mil jayega.
Computer programming seekhni hai, Android App banani seekhni hai.. Internet par inke baare me bohot kuch hai.
Aur agar nahi pata ki kaha se shuru kare to aap Internet par Wikipediapadhna shuru kardo. Wikipedia ke pehle page se shuru karo aur jo bhi mile padne lag jaao. Nahi samajh aa raha to bhi padho, Dictionary utao aur suru ho jao. Dictionary bhi hai internet par yaar.. Bas bahane mat banao.
Practical Advice Number #2
Books padho.
Books mera favorite hai, mai apni income ka sabse jayda kharcha books par karta hun. Kyo karta hun?
Kyoki kisi ek vyakti ne apne 40 saal ka experience ek book me likha hai, aur aap agar uska sara anubhav kuch dino me apne dimag me download kar sakte hun, To isse bhadia seekhne ka mooka kaha milega.
Agar aap 20 Books padhkar kuch bade logo ka 10×20 = 100 ghante ka experience bhi apne dimaag me utar lete ho, to kya aapko pata hai ki kita aage nikal jaoge aap. Novels ya dharmic kitabo ki baat nahi kar raha biographies ya Self-help books ki baat kar raha hu.
Jadatar Novel aapka time hi waste karege.
Kitne saare vyaktiyo ne zero se shuru kia tha, unke baare me padho ki wo kaise kaamyaab bane, ye pata chalege.

Practical Advice Number #3
Sangati sudharo, Friend to delete karo
Jim Rohn ne kaha hai – “You are the average of the five people you spend the most time with.”
Matlab “Aap aapke saath sabse jyada samye bitane waale 5 logo ki Average (औसत) ho”.
To faltu logo ki sangati chodo. Kahi log kahege ki unke aas paas sabhi bewakoof hai.
Koi baat nahi, to Family ke ilawaa baaki sabhi bewakoof logo ke sath time bitana band kardo. Thoda akele raho, aur bade logo ke sath time bitao.
Bade log? Mai kisi ko jaanta nahi…
Jaroorat bhi nahi hai. Aur bohot se bade log shayad aapko time de bhi nahi sakte. To kya kare?
Youtube par jaoo, aapko jike jesa banna hai, Unki videos download karo. Bill Gates banna hai, uski videos dekho, uski books padho. Steve Jobs banna hai uske baare mai padho, uski videos dekho.
Ek researh ke mutabik harama achetan dimag Imaginary (TV, Video) aur Asli cheezo mai farak nahi bata sakta. To agar aap Video ya Audio ke madhyam se in logo ke saath rahoge.
Aapka dimag sochege ki ye sach mai aapke sath hai, Aur aap bhi inke jese ban jaoge.
In teen practical advice’s ko karne ke baad aapko Skill bhi pata chal jaega ki kya seekhna hai aur ye bhi pata chal jaega ki kaise seekhna hai.
Value Banao Paise Kamao
Ab jab aapke paas itne skill aajaege, to aapka logo ke sath alag vyavhaar hojaega. Wo aapko apne level par wapas laane ki koshish bhi karege, ese logo ko ignore karna.
Ab aap apne skill ko logo tak pohcha sakte hai, apne skill se unki madad kar sakte hai.
Koi aapko paise kyo dega? Use kya farak padhta hai ki aapko amir banna hai.
Log aapko paise tab denge, jab aap unko badle mai kuch kaam ka (valuable) denge. Aur jitni jada aap value create kar sakte hai. Utna jada aapko apne aap paise milta jaega.
Aur agar aapke paas skill nahi honge to aap ek majdoor ki tarha din raat mehna karte rahege aur akhir mai guzaare se bhi kum paisa hi kama payege.
Aur doorsi taraf skill wala koi vyakti din ke 3 – 4 ghante apne computer par button dabayega, aur aap poore mahine mai jitna kamate hai usse 10x guna ek din mai hi kama lega.
Ise Smart work kehte hai. Hard Word purana ho gaya hai.
Aaj ki economy Knowledge economy hai.
Aur Blogging se Paise ?
Jab aap logo ke liye Value bana rahe hoge ya apne skills se kisi company ko value dere hoge. Tab aap us value ko jada se jada logo tak pohchane ke liye nayi technology ka use karoge. Blogging us technology ka hi ek hissa hai.
Blogging apne aap mai hi koi business nahi hai. Lekin blogging ka use aap apne business ko aage bhadane ke liye kar sakte ho. Jada se jada logo tak pohchne ke liye kar sakte ho. Kuch bechne ke liye kar sakte ho. Jada baccho ko padhane ke liye kar sakte ho.
Thode bohot Ads bhi click hoge, lekin Ads long-term strategy nahi hai. Kalko Google ne aapka adsense BAN kar dia. To aap to barbaad ho jaoge. 

Steps:
- Knowledge bhadao
- Skill Decide karo
- Padho ke bade logo ke kaise kiye
- Sangati sudharo
- Youtube ka fayada uthao
- Apne Skill mai master bano
- Us Skill se logo ko kuch fayada pohochao
- Phir blog ka use karo, jada se jada logo ke pass pohchne ke liye aur apne kaam ko bhadane ke liye.
तो दोस्तों आपको हमारे द्वारा लिखा गया ये article कैसा लगा हमे comment कर जरूर बताये।
और अधिक से अधिक shere kare.
Thanks and keep visit dgyaan