Blogger par do tartha ka content aap daal sakte hai ek to hota hai Posts aur doosra pages. Pages aur post me ye farak hai ki pages hamesha ek jaise rehte hai, aur posts kuch sameye baad naye add hote rethe hai.
Contact us ya About us ko hum page kehte hai, kyoki ye hamari website ke menu me alag se link rehte hai aur inpar likha content lagbhag hamesha ek jaisa rehta hai.
Blogger hame pages ke apne menu me daale ka ek assan gadget deta hai. Is article me hum pehle to pages banana seekhege aur fir pages us page ko apne menu se lagana seekhege. Saath hi hum seekhege kaise bhi external link ko apne menu me kaise lagaye.
Pages ko blog par kaise add kare?
Step 1: Sabse pehle apne blogger blog account me login kare aur pages par click kare.
Step 2: “New Page” button par click kare
Step 3: Ab apne page ka title aur uske ander ka content likhe, content likh kar “publish” par click kare.
Page ko publish karna jaroori hai, nahi to hum use agle step me menu mai nahi laga payege.
Ab humara page ban chuka hai, ab hum is page ko apne menu me lagayege.
Step 4: layout par click kare, aur aap jaha bhi menu lagana cahte hai waha “Add a gadget” par click kare.
Step 5: Gadget list me se “Page” select kare
Step 6: Ab aapne jo bhi page apne menu me add karna hai uske aage ke tick par click karde. Tick par click karte hi aapka page ek box ke roop me left side me add ho jayega. Aap apne pages ki position unko drag and drop karke badal sakte ho.
Apne pages ki arrangment se poori tarha santusth hone ke baad “Save” par click kare.
Save par click karte hi Page aapki website ke naye menu me add ho jayege.
External link ko kaise add kare?
Aap apne blog ke menu mai external link bhi laga sakte hai. External link ka matlab hota hai wo link jo kisi aur website ki hai. Jaise ki aap apne kisi dost ke blog ki link laga sakte hai.
Step 1: Layout mai jaakar apne pages gadget ke edit par click kare. Pages gadget me se “+ Add external link” par click kare.
Step 2: “+ add external link” par click karte hi ek box khulega, use link ka title likhe aur doosre box me link ka address daal de. Ye title aapke menu me dikhega. Dono fields bharne ke baad save par click karde.
Aap apni page ki links ko arrange karke unki position aage peeche bhi kar sakte ho.
Save kare. Aapka external link ab aapne blog par add ho gaya hai.
Neeche diye gaye box me apne comment likhe. Agar aapko ye article acha laga to apne dosto se jaroor share kare.
Thank you 
