Home About Contact Sitemap Disclaimer テクノロジー
Find 2 help ai
Find 2 help ai › Blogging make money

on

Blogger par favicon kese lagaaye



Jab aap kisi bhi browser me internet use karte hai, to upar tab me chota sa icon bana hota hai, us icon ko Favicon icon kehte hai. Agar aapka blog blogger par hai to upar ek orange color me choto sa “B” bana hoga, ye “B” filahaal ke liye aapka favicon icon hai.
Is image me aap dekh sakte hai facebook, twitter ke favicons lage hue hai.
favicon-kya-hota-hai
Favicon ka fayada ye hai ki agar aapka blog khula hai to tab bar se logo ko wo aasani se mil jayega.
Blogger aapko bohot aasani se Favicon change karne ka option deta hai. Lekin change karne se pehle aapke paas favicon hona jaroori hai.

Favicon kaise banate hai?

1. Favicon banane ke liye sabse http://www.favicon-generator.org/ par jao.
2. Website par jakar sabse pehle aapne jis bhi photo ko favicon banana hai use select karo.
generate-kare-favicon-1
3. Ab neeche se “Generate only 16×16 favicon.ico par click karo. Uske baad “Create Favicon” par click kardo.
generate-kare-favicon-3
4. Aapka favicon tayaar hai, ab aap ise download kar sakte hai.

Blogger par Favicon update kaise kare?

Ab aapne favicon bana liya, ab hamara agla step hai favicon ko apne blogger blog par lagana. Favicon lagane ke liye sabse pehle aap apne blogger account me login kijiye.
Login karne ke baad layout > Favicon me jakar edit par click kare.
edit-favicon-click-kare
Ab naya window khul jayega. Is window me choose file par click karke apne jo pichle step me favicon download kiya tha use select kare.
favicon-update-karol
Favicon select karne ke baad “Save” par click kare.
Congratulations!! Aapka favicon icon lag chuka hai. Naya favicon check karne ke liye apne blog ke homepage ko dubara se refresh kare.
new-favicon
Agar ye post aapko pasand aayi to apne dosto se ise jaroor share kare. Aur agar koi bhi problem aati hai to neeche diye gaye comment box me likh kar bheje.
Thank You :)
Copyright © 2015 Dgyaan-digital gyaan - All Right Reserved.
Thanks To Arlina Design - This Template Dunia Blanter / Blogger