Lagbhag har Website par aajkal aapko Facebook likebox laga mil jaega. Facebook likebox ka ye fayada hai ki aapke Blog par aane wala vyakti aapke blog ko bina chode aapka Facebook page like kar sakta hai. Aur like box par bane cehre dekh kar wo aapka page like karne ke liye aur jada aakarshit ho jayega.
Is article me mai aapko apne Blog par Facebook like box lagana sikhauga. Facebook like box lagane ke liye hum HTML/JavaScript widget ka istimaal karege.
Like box lagane ke liye sabse pehle hume Facebook like box ka code cahiye hoga.
Facebook Like Box Ka Code Kaise Banaye.
Step 1: https://developers.facebook.com/docs/plugins/page-plugin par jaye
Yaha jaakar pehli field me apne Facebook page ka naam daale, apne pasand ke options select kare. Aur Get Code par click karde.
Get code par click karte hi Code aa jayega, hume in dono code ko apne blogger me copy karna hai.
Step 2: Blogger me login karke, Layout me jaye jaha bhi aapko Facebook likebox daalna hai waha jaakar Add Gadget par click karde.
Add gadget karne ke baad HTML/JavaScript wala gadget select kare.
Step 3: Gadget ka title de aur neche code box me Facebook se copy kiye dono code paste karde
Save par click kare
Ab aapke blog par Facebook likebox widget lag chuka hai, confirm karne ke liye apne blog ko refresh karke dekh le.
Is article se sambandhit koi bhi sawaal ke liye neeche diye gaye comment box me comment kare.
Thank you 
