Agar aap apne reader ki help karna cahte hai aur unse hamesha jude rehna cahte hai to uska sabse acha jariya hai blogger par ek contact form lagaye jo ki har samye available ho aur koi bhi bohot aasani uska istimaal kar sakte.
Blogger ne kuch samaye pehle ek bohot ki sadharan aur bhadiya contact form Gadget nikala tha. Aaj hum is article me us contact form widget to apne blogger blog ke sidebar me lagana seekhege.
Isko lagana bohot is asaan hai.
Step 1: Sabse pehle apne apne Blogger account me login kare.
Step 2: Fir left side menu se Layout par click kar, layout ke page me se Sidebar me Add a Gadget par click kare
Step 3: Contact form ka Gadget More Gadgets ki list me hai, More Gadgets par click karke Contact formgadget ke aage bane (+) symbol par click kare.
Step 4: Ab blogger aapko Contact form widget ka Title poochega. Title daalkarSave par click kare.
Ab aapka Contact form widget sidebar me lag chuka hai, aap is widget ki position ise drag karke change kar sakte hai.
Layout section me upar se “Save arrangement” par click kare.
Ab aapka contact form sidebar me shamil ho chuka hai jo ki kuch aisa dikhega.