Commenting blogging ka ek sabse jaroori hissa hai, commenting ke dwara hi log blog ke lekhak se aur baki readers se jud sakte hai. Lekin bohot se logo ke ka iski settings nahi karni aati.
Is article me hum comments section ki setting karne ke baare me jaanege.
Sabse pehle hum Settings > Posts and comments me janege.
Apne comment setting ko neeche di gayi image jaisi rakhe.
Comment Location : Is setting ko hamesha “Embedded” hi rakhe, Embedded setting ka matlab hai ki aapke jo comments hai wo aapki posts ke neeche hi hoge. Agar aap bilkul alag page par comments dikhana cahte hai to click karke koi aur setting laga sakte hai.
Who can comment? : Agar aap cahte hai ki koi bhi aapki post par comment kar sakte to aap Anyone select kar sakte hai, lekin anyone select karne se aapko koi galat naam se kuch galat spam comment bhej sakta hai. Spam comment se bachne ke liye Registered User par click kare, isse koi bhi vyaki bina ID ke aapki website par comment nahi kar sakega.
Comment Moderation : Ise hamesha Always par set rakhe, comment moderation ON karne se aapki website par tab tak comment Show nahi ho payega jab tak aap us comment ko aaprove nahi kar dete. Isse aapki website par galat comments kam ho jayege.
Show word verification : Word verification ka matlab hai ki comment karne se pehle vyakti ko CAPCHA “Im not a robot” vali verification karne padhegi. Kyoki humne pehle li Who can comment? me Registered User select kar liya hai to isliye Word Verification ki jaroorat nahi hai. Ise NO rakhe.
Show Backlinks : Jab koi aur blogger apni website par aapke blog ki link daalta hai use backlink kehte hai. Show karke aap in Blogs ke naam ko apne comments section me dikha sakte ho. Humne ise hide kiya hua hai.
Comment Form Message : Yaha likha hua text ek Notice form ki tarha aapke comment section ke upar aa jayega. Isme aap apne visitors ko bata sakte hai ki comment karne ke kya rules hai, aur comment kaise kare.
Ab aap jaakar apne blog me in settings ko laga sakte hai. Agar aapko is post se sambandhit kuch bhi poochna hai to neeche comment kare.